MS-DOS Kya Hai? Full Form, History, Commands Aur Examples in Hindi
MS-DOS Kya Hai?
Aaj hum sab colorful screens aur mouse clicks ke zamaney me
jee rahe hain. Lekin kya aapko pata hai, ek aisa waqt tha jab sirf black screen
hoti thi, aur sab kuch keyboard ke commands se chalta tha? Haan, hum baat kar
rahe hain MS-DOS ki, ek aisa operating system jiska interface na keval simple
tha, balki usme user ki typing skills hi sab kuch hoti thi.
Agar aap computer ke asli roots ko samajhna chahte hain, to MS-DOS
ko samajhna bahut zaruri hai. Aaiye is article me detail me jaante hain MS-DOS
kya hai, iska full form, history, kaise kaam karta hai, aur kaunse commands use
hote hain.
MS-DOS Ka Full Form Kya Hai?
MS-DOS Ka Itihaas (History of MS-DOS) – Ek Dilchasp Kahani
Aaj hum MS-DOS ko Microsoft ka banaya hua operating system ke
roop me jaante hain, lekin iski kahani Microsoft se shuru nahi hoti. MS-DOS ka
asli janm hua tha ek chhoti si company Seattle Computer Products (SCP) ke paas,
jahan iska original naam tha 86-DOS.
Pehle Iska Naam Kya Tha?
Microsoft Ne QDOS Ko Kaise Kharida?
1980 ke aas-paas IBM apna pehla personal computer launch
karne ki planning kar raha tha. Unhe ek reliable operating system chahiye tha.
Pehle wo Digital Research ke CP/M OS ke paas gaye, lekin deal finalize nahi ho
paayi.
Important Timeline |
|
Year |
Event |
1980 |
Tim Paterson
ne QDOS banaya (Quick and Dirty OS) |
1981 |
Microsoft ne
QDOS kharida, naam rakha MS-DOS |
1981 |
IBM PC ke
saath MS-DOS 1.0 launch hua |
1983 |
MS-DOS 2.0
aaya with directory support |
1990s |
Windows ne
GUI ke saath DOS ka use kiya as base |
2000 ke baad |
MS-DOS ka use
sirf special system tasks ke liye hone laga |
MS-DOS Kaise Kaam Karta Hai?
MS-DOS ek command-driven system hai. Isme aapko har kaam jaise file banana, folder delete karna, ya system format karna type karke
karna padta hai. Isme na koi mouse hota hai, na icons sirf aap aur ek command
prompt.
Working Process:
- Jab
computer boot hota hai, MS-DOS load hota hai.
- Screen
par aapko prompt dikhta hai, jaise C:\>.
- Aap
koi command likhte hain, jaise DIR, COPY, FORMAT etc.
- DOS
command ko samajh kar uska result dikhata hai.
Windows (GUI OS) Me MS-DOS Kaise Open Karein?
Agar aapke paas Windows 7, 8, 10, ya 11 hai, to bhi aap
MS-DOS jaise interface ka use kar sakte ho, jise Command Prompt (CMD) kehte
hain.
Steps to Open:
- Step
1: Start Menu me jayein
- Step
2: Search karein CMD ya "Command Prompt"
- Step
3: Click karte hi black screen khul jaayegi — wahi aapka MS-DOS jaisa
prompt hai
Shortcut Tip: Windows +
R dabakar cmd likhiye, enter dabaiye – turant open ho jayega.
MS-DOS Commands Kitne Type Ke Hote Hain?
MS-DOS me commands do prakar ke hote hain — Internal aur External.
1. Internal Commands
Ye commands DOS ke core part me stored hote hain. Inke liye
koi alag file ki jarurat nahi padti.
Drive Select Karne Ka Command
MS-DOS me jab aapko kisi aur drive me switch karna hota hai jaise C: se D: ya E: drive me - to aap D: command ka use karte hain. Matlab, D: ka matlab hai ki aap D drive (agar available hai) me enter karna chahte hain.
D: and press Enter
Example:
C:\>D:
D:\>
MD – Make Directory
MD ka full form hai Make Directory. Jab aap MS-DOS me ek naya folder
(directory) banana chahte hain to MD command ka use karte hain.
Syntax:
MD <Directory Name>
Example:
D:\>MD shiva
CD – Change Directory
CD ka matlab hai Change Directory. Jab aap kisi folder ke andar jaana chahte
hain to CD command use karte hain. Ab aap shiva folder ke andar kaam kar sakte
hain.
Syntax:
CD <Directory Name>
Example:
D:\>CD shiva
D:\shiva>
CD.. Ek Step Piche Jaana
yaani ki Ye aapko parent directory me le jata hai. Matlab CD.. ka use hota hai current folder ke ek level upar jaane ke liye.
Syntax:
CD..
Example:
D:\shiva>CD..
D:\>
DIR – Directory List Dikhana
DIR ka use kisi folder me jo bhi files aur folders hain, unhe dikhane ke liye
hota hai. Iska output folder ke andar ki list hoti hai, filenames, sizes, aur
dates ke saath.
Syntax:
DIR
Example:
D:\shiva>DIR
RD – Remove Directory
RD ka matlab hai Remove Directory. Ye command kisi empty folder ko delete karne
ke kaam aati hai. Dhyan rahe ki folder empty hona chahiye. Warna error show
karega. Aur recent/active nehi hona chahiye.
Syntax:
RD <Directory Name>
Example:
D:\>RD shiva
Flow
Chat – Directory Create → Change → Delete
D:\>MD
shiva → Folder bana
D:\>CD
shiva → Folder ke andar gaye
D:\shiva>CD.. →
Wapas bahar aaye
D:\>RD
shiva → Folder delete kiya
Rules of File Naming in MS-DOS
MS-DOS me koi bhi file ka naam dete waqt kuch basic rules
hote hain jo har user ko follow karne padte hain. MS-DOS ka file system FAT
(File Allocation Table) par based hota hai, jismein file naming ka ek 8.3
format rule hota hai. Primary part maximum 8 characters ka ho sakta hai. Extension
part maximum 3 characters ka ho sakta hai. File name me space, special
characters (jaise \ / : * ? " < > |) allowed nahi hote. File name
case-insensitive hota hai. (MATLAB: OMM.txt aur omm.txt same mana jayega)
File Name do part me divide hota hai:
- Primary
Name (Main Part)
- Extension
(Type of File)
In dono parts ke beech me ek dot (.) lagta hai, jise
separator kehte hain.
Example se samjhte hain:
Maan lijiye ek file ka
naam hai omm.txt
- omm
= Primary Part (File ka naam)
- txt
= Extension Part (yeh batata hai ki file kis type ki hai)
File
Name |
Primary
Part |
Extension |
File
Type |
omm.txt |
omm |
txt |
Text File |
omm.docx |
omm |
docx |
Word Document |
omm.pdf |
omm |
pdf |
PDF Document |
omm.rtf |
omm |
rtf |
Rich Text Format |
COPY CON Command
COPY CON ka matlab hota hai — Copy Console. Is command ka use MS-DOS me ek nayi file create karne ke liye kiya jata hai, jisme aap directly keyboard se content type kar sakte hain. Ise aap tabhi use karna hai Jab aapko ek simple text file banana ho bina kisi external software ke.
Syntax:
COPY CON <FileName.Extension>
Uske baad jo bhi content aap likhenge, woh file me store ho
jayega.
Content likhne ke baad file ko save karne ke liye Ctrl + Z
dabakar Enter press karna hota hai.
D:\>COPY CON omm.txt
Hello, this is my first file.
^Z
1 file(s)
copied.
TYPE Command (File ka content dekhne ke liye)
TYPE command ka use MS-DOS me kisi bhi text file ka content
screen par display karne ke liye kiya jata hai. Iska matlab ye hua ki agar
aapne koi file banayi hai aur usme kya likha hai wo dekhna chahte hain bina
usse edit kiye, to TYPE command ka use kijiye.
Syntax:
TYPE <FileName.Extension>
D:\>TYPE omm.txt
Hello, this is my first file.
Yahaan omm.txt file ka pura content screen par display ho
gaya.
REN Command (File ka naam badalne ke liye)
REN ya RENAME command ka use kisi bhi existing file ka naam
badalne ke liye hota hai. Aapka file content same rahega, sirf uska naam change
ho jayega.
Syntax:
REN <OldFileName.Extension>
<NewFileName.Extension>
Example:
C:\>REN omm.txt raj.txt
Yahaan omm.txt file ka naam ab raj.txt ho gaya hai.
DEL Command (File ko delete karne ke liye)
DEL command ka use MS-DOS me kisi bhi file ko permanently
delete karne ke liye hota hai. Once deleted, usse recycle bin me recover nahi
kiya ja sakta.
Syntax:
DEL <FileName.Extension>
Example:
C:\>DEL raj.txt
Yahaan raj.txt file ab delete ho chuki hai.
Agar aap DEL *.* likh dete hain to us directory ke sabhi
files delete ho jate hain. Bahut dhyan se use karein!
Flowchart: MS-DOS Me File Create, Display, Rename Aur Delete Karne Ka Process
[Start]
↓
[Use COPY CON to create file]
↓
[Press Ctrl + Z to save]
↓
[Use TYPE to view file content]
↓
[Use REN to rename file]
↓
[Use DEL to delete file]
↓
[End]
2. External Commands
Ye alag executable files (.COM, .EXE) ke roop me hote hain.
Inke bina command kaam nahi karegi.
Command |
Kaam |
Syntax |
Example |
FORMAT |
Drive format
karta hai |
FORMAT drive: |
FORMAT A: |
CHKDSK |
Disk error
check karta hai |
CHKDSK C: |
- |
DISKCOPY |
Puri disk
copy karta hai |
DISKCOPY A:
B: |
- |
TREE |
Directory
tree show karta hai |
TREE |
- |
XCOPY |
Multiple
files/folders copy karta hai |
XCOPY src
dest |
XCOPY C:\DOCS
D:\BACKUP |
MS-DOS Ki Kuch Zaruri Commands
Command |
Description |
VER |
DOS ka
version batata hai |
DATE |
Aaj ki date
batata hai |
TIME |
Samay batata
hai |
MS-DOS Ke Fayde (Advantages)
- Lightweight OS – kam memory me chal jata hai
- Fast Execution – commands turant execute hoti hain
- Bootable Environment ke liye perfect hai
- Virus scanning tools DOS environment me kaam karte hain
- Aaj bhi BIOS update, disk formatting me use hota hai
MS-DOS Ke Nuksan (Limitations)
- GUI (Graphical User Interface) nahi hoti
- Multi-tasking support nahi
- User-friendly nahi hai
- Hardware support limited hai
- Modern software MS-DOS pe nahi chalte
MS-DOS Commands MCQ Quiz
MS-DOS bhale hi aaj ke time me purana lagta ho, lekin ye
computer ke evolution ka ek important hissa hai. Isne hume bataya ki bina mouse
aur fancy graphics ke bhi computers powerful ho sakte hain. Agar aap computer
ke asli foundations ko samajhna chahte hain, to MS-DOS seekhna ek smart move
hai.
Aapko ye article kaisa laga Comment karke zarur batayein,
aur agar pasand aaya ho to apne doston ke saath share karein.
No comments:
Post a Comment