Hardware aur Software Kya Hote Hain?
Aaj ke digital yug me hum sabhi kisi na kisi tarike se
computer ka upyog karte hain chahe wo
mobile ho laptop ATM machine ya smart TV Lekin kya aapne kabhi socha hai ki in
machines ke peeche ka asli dimaag kaun hota hai Computer ka kaam karne ka pura system do
mukhya hisso par adharit hota hai Hardware
aur Software In dono ke bina computer na to kuch soch sakta hai aur na hi kuch
kar sakta hai
Sabse pehle samajhte hain ki hardware aur software ka matlab
kya hota hai Computer ka hardware uske wo parts hote hain jinhe hum dekh sakte
hain aur chhoo sakte hain jaise ki
monitor keyboard mouse CPU printer hard disk motherboard aadi Ye sab physical
devices hote hain jo computer ke functioning me directly shamil hote hain Ek
tarah se ye computer ka shareer (body) kehlaata hai
Wahin doosri taraf software ek aisa cheez hai jo dikhai nahi
deta lekin computer ko chalane ke liye
sabse zaroori hota hai Software ek
program ya instruction ka set hota hai jo hardware ko batata hai ki kaam kaise
karna hai Jaise ki aap MS Word Google
Chrome WhatsApp ya Windows operating
system ka upyog karte hain ye sab
software ke udaharan hain Software ke bina hardware ek lifeless box ki tarah
hota hai
Ek simple udaharan se samjhte hain maan lijiye ek harmonium (hardware) hai Agar koi use bajana na jaane (software na ho)
to wo sirf ek box hi rahega Lekin agar koi sangeetkaar us par sahi tarike se
sangeet bajaaye to wahi harmonium ek madhur sangeet ka sadhan ban jaata hai Bilkul waise hi hardware aur software milke
computer ko ek powerful aur intelligent machine banate hain
Isliye hardware aur software ka samarthan ek doosre ke bina
adhoora hai Dono ek doosre ke puraak hote hain Aaj ke article me hum detail me
jaanenge ki hardware kya hota hai software kya hota hai inke prakar kya hain
aur dono ke beech kya antar hai Aakhir me aapko ek quiz bhi milega jisse aap
apna gyaan test kar sakenge
To chaliye shuru karte hain is rochak aur jaruri safar ko Hardware aur Software ke Duniya me
Hardware Kya Hota Hai?
Jab hum kisi computer ko dekhte hain to sabse pehle humein
uske kuch physical parts nazar aate hain jaise monitor keyboard CPU mouse
printer aadi Ye sabhi cheezein hardware kehlati hain Aasan bhaasha mein bolein
to Hardware wo physical part hota hai computer ka jise hum chhoo sakte hain
dekh sakte hain aur use kar sakte hain
Ye computer ke woh ang (parts) hote hain jo machine ko kaam
karne mein sahayak hote hain Jaise ek human body ke alag alag ang hote hain haath pair aankh kaan waise hi computer ke bhi alag alag hardware
components hote hain.
Sochiye aap ek mobile phone use kar rahe hain Uska screen
battery camera buttons– sab kuch hardware hai Lekin jab aap WhatsApp ya YouTube
chalate ho to wo software ka kaam hota hai Bilkul waise hi computer ka monitor keyboard
CPU hard disk RAM sab kuch hardware me
aata hai
Hardware ke Pramukh Udaharan
- Input
Devices: Keyboard Mouse Scanner Webcam
- Output
Devices: Monitor Printer Speaker
- Storage
Devices: Hard Disk SSD Pen
Drive
- Processing
Devices: CPU (Central Processing Unit) GPU (Graphics Processing Unit)
- Motherboard:
Computer ka main board jisme sabhi parts connect hote hain
- RAM: (Random Access Memory)
- SMPS: (Switch Mode Power Supply)
Input Devices
Input devices wo hardware hote hain jinke zariye hum apna
data ya command computer ko dete hain Ye
devices computer ke saath interact karne ka madhyam hote hain Jaise Jab
aap keyboard se kuch type karte hain ya mouse se kisi icon par click karte hain
to ye dono input devices computer ko
instruction dete hain ki kya karna hai Scanner aur webcam bhi input devices hote hain
jo image ya video ko digital format me convert karte hain
Output Devices
Output devices computer ke response ko hume dikhane ya
sunane ka kaam karte hain Ye devices wo hote hain jinke zariye computer user ko
result dikhata hai Jaise Jab aap kuch type karte hain aur wo screen par
dikhta hai – to monitor ek output device hai. Jab aapka printer kisi file ko
kaagaz par nikalta hai ya speaker music bajata hai to ye sab output devices hain jo hume result
provide karte hain
Storage Devices
HDD (Hard Disk Drive)
SSD (Solid State Drive)
Pen Drive
Processing Devices
Processing devices wo hote hain jo input data ko process
karke output banate hain Inka kaam hota hai sochna calculate karna aur data ko
control karna
CPU (Central Processing Unit)
GPU (Graphics Processing Unit)
Motherboard
Motherboard computer ka main circuit board hota hai
jisme CPU RAM storage devices ports aur sabhi parts connect hote hain Ye sabhi
hardware ko ek saath jodta hai aur unke beech communication ka kaam karta hai Agar
CPU dimaag hai to motherboard nervous system ki tarah hota hai jo sab
kuch connect karke sahi tarah chalne deta hai Without motherboard computer ke
parts aapas me kaam nahi kar sakte
RAM (Random Access Memory)
RAM ek temporary memory hoti hai jo computer ke chalne ke
dauraan use hoti hai Jab aap koi software open karte ho jaise MS Word ya
browser to wo pehle RAM me load hota hai taaki fast kaam kare Isse hum computer
ki working memory bhi kehte hain Jaise aap ek kitab padh rahe ho aur uska ek
page open karke table par rakha ho wo
RAM ka kaam karta hai Jaise hi kaam khatam hota hai ya computer band hota hai
RAM ka data delete ho jaata hai Isliye
isse volatile memory bhi kaha jaata hai
SMPS (Switch Mode Power Supply)
SMPS ek aisa hardware device hai jo computer ke har part ko
sahi voltage me power supply karta hai Ye 220V ke main electricity ko convert
karke CPU motherboard hard disk jaise parts ko exact power deta hai Agar SMPS
na ho ya kharab ho to computer ka koi bhi part sahi se kaam nahi karega Isliye
SMPS ko computer ka power manager bhi kaha ja sakta hai Ye system ke
andar hota hai aur generally CPU case ke piche laga hota hai
Software Kya Hota Hai
Jab aap computer ko chalu karte ho aur usme koi kaam karte
ho jaise typing photo editing ya
internet use to aap actually hardware
nahi software ke saath kaam kar rahe hote ho Hardware to ek machine hota
hai lekin software us machine ka dimaag hota hai jo usse chalata hai Software
ek set of instructions hota hai jo hardware ko batata hai ki kaam kaise karna
hai Isse hum dekh sakte hain lekin chhoo
nahi sakte
Sochiye aap ek harmonium bajana chahte ho Harmonium khud ek
hardware hai Lekin agar aapko bajana hi nahi aata (yaani koi instructions nahi
hai) to harmonium sirf ek box hi rahega Lekin jab koi trained musician (yaani
software) use bajata hai tabhi awaaz nikalti hai Bilkul waise hi agar computer
me software na ho to keyboard monitor mouse sab bekaar ho jaate hain
Software ke Pramukh Prakar
- System Software
·
Application Software
·
Utility Software
·
Programming Software
System Software
Application Software
Application software wo hota hai jise hum apne daily kaamon
ke liye use karte hain jaise typing browsing designing accounting etc. Ye
software directly user ke input par kaam karta hai Jaise ki Jab aap MS Word me
kuch likhte ho ya Google Chrome me internet chalaate ho ya VLC Media Player se
video dekhte ho to ye sab application
software hain Ye hume specific kaam karne me madad karte hain jaise ek employee
apne Boss ke order follow karta hai
Utility Software
Utility software chhoti chhoti technical problems solve
karta hai aur system ko smooth chalane me madad karta hai Ye generally background me kaam karta hai
jaise cleaning repairing scanning ya compressing jaise ki Agar aapka system slow chal raha hai
to aap Disk Cleanup chala ke space free karte ho Agar virus aa gaya to
antivirus software jaise Quick Heal ya Avast use karte ho WinRAR bhi utility
software hain jo files ko compress karte hain.
Programming Software
Programming software un logon ke liye hota hai jo naye
software ya websites banate hain Iska use coders aur developers karte hain jo
alag alag programming language me program likhte hain jaise ki Visual Studio Code Turbo C++ Python IDLE ye sab programming software hain Jaise ek
architect building ka design banata hai waise hi programmers in tools ki help
se naye software ka design aur development karte hain
Hardware aur Software – MCQ Quiz
Aapne ab tak hardware aur software ke baare mein detail mein jaana Agar aap yeh sab dhyan se padhe hain to aapka computer ka basic concept strong ho gaya hai
Agar aapko yeh article pasand aaya ho ya kuch naya seekhne
ko mila ho to niche comment karke zaroor batayein Aur haan is page ko apne doston ke saath bhi share
kijiye, taaki unhe bhi basic computer knowledge mil sake
No comments:
Post a Comment