Computer Kya Hai- Basic Se Advanced Tak Sab Kuch
Jab hum naye hote hain kisi cheez ke liye toh dar lagta hai
Shayad aapne bhi pehli baar jab kisi computer ko dekha tha toh yeh socha
hoga Yeh itne saare button wala machine kya karta hai Screen
chamakti hai keyboard click karta hai mouse hilta hai aur dimaag hil jata hai
Par sach kahun toh computer ek dost hai bas thoda
samajhna padta hai usko toh aaj hum simple aur easy Hinglish mein samjhenge
ki Computer kya hota hai uske kaam kya hote hain, aur kyun aaj ke zamane
mein yeh har jagah zaroori ho gaya hai
Computer Kya Hota Hai
Computer ek electronic machine hai jo input data
ko process karke useful result nikalta hai iska kaam bilkul waise hi hai jaise
ek rasoiya aapke diye gaye saman se khana banata hai Computer bhi input leta hai process karta hai
aur output deta hai
Computer Kaise Kaam Karta Hai
Computer teen main steps mein kaam karta hai
- Input –
Jab aap kuch type karte ho keyboard se ya click karte ho mouse se
- Processing –
CPU ya processor use information ko samajhta hai analyze karta hai
- Output –
Aapko result dikhata hai screen pe ya print karta hai paper pe
Computer ke Important Parts:
Part Name |
Kaam |
Monitor |
Output dikhata hai |
Keyboard |
Data type karne ke
liye |
Mouse |
Screen pe pointer
control karne ke liye |
CPU |
Dimag hota hai
computer ka |
Printer |
Screen ka output
paper par deta hai |
Speaker |
Sound sunne ke liye |
Scanner |
Document ko computer
mein lane ke liye |
Computer Ka Use Kahan Kahan Hota Hai
- School
aur College – Notes exams online classes ke liye
- Office
– Emails reports data entry
- Shops
– Billing aur stock management ke liye
- Banks
– Account details check karne aur paisa transfer karne ke liye
- Ghar
me – Movies dekhne online shopping aur learning ke liye
Aaj ke time mein computer har jagah hai mobile phone
bhi ek mini computer hi hai
Computer Knowledge Test
Test your basic computer knowledge by answering the following questions:
Computer ka Itihaas History of Computer
Computer ka itihas bahut purana hai aaj hum jo modern
computer dekhte hain unka development kai sadiyon ke research aur inventions ka
result hai chaliye is development
journey ko simple aur interesting tarike se samajhte hain
1. Abacus – Pehla Calculation Tool (2400 BC ke aaspaas)
- Sabse pehla ginti karne ka yantra Abacus tha iska use China India aur Mesopotamia jaise deshon mein hota tha
- Ye wooden frame mein beads
hote the jinhe slide karke calculation ki jaati thi
- Aaj bhi kai schools mein
Abacus training di jaati hai
2. Napiers Bones (1617)
- John
Napier ek Scottish mathematician ne Napiers Bones banaya
- Ye
ek manual device thi jo multiplication aur division mein help karti thi
3. Pascaline (1642)
- Blaise
Pascal ne mechanical calculator design kiya jise Pascaline kehte hain
- Ye
digits ko automatically add aur subtract kar sakta tha
4. Leibniz Calculator (1671)
- Gottfried
Wilhelm Leibniz ne aisa calculator banaya jo multiplication division
addition aur subtraction sab kuch kar sakta tha
- Ye
modern calculators ka base mana jaata hai
5. Charles Babbage ka Difference Engine (1822)
- Charles
Babbage ne pehli baar aisa machine design kiya jo automatic calculations
kar sake
- Unhone
1837 mein Analytical Engine ka bhi concept diya jo programming logic pe
kaam karta tha
- Isi
wajah se unhe Father of the Computer kaha jaata hai
6. Ada Lovelace – Pehli Programmer (1843)
- Ada
Lovelace Charles Babbage ke machine ke liye pehli algorithm likhne wali
scientist thi
- Isi
wajah se unhe First Computer Programmer bhi kaha jaata hai
7. 20th Century – Modern Computers ka Janm
- 1940s
mein pehla electronic computer bana – ENIAC (Electronic Numerical
Integrator and Computer)
- Ye
vacuum tubes se bana tha aur bahut bada size mein hota tha
- Phir
transistors ICs aur microprocessors aaye aur computer chhote aur powerful
hote gaye
Computer ka itihas dikhata hai ki har naye invention ne agle kadam ke liye
raasta banaya Aaj ka smart phone ya laptop ek lambe safar ka nateeja hai samay
ke saath technology ne computer ko fast chhota aur intelligent bana diya hai
History of Computer - Knowledge Test
Test your knowledge on the history of computers:
Computer ki Peedhiyan (Generations of Computer)
Pehle samjhte hain Generation ka matlab kya hota hai aapne suna hoga hum
jangal mein rehte the hamare paas ek poonch bhi thi andheron mein rehte the
jharne ka paani peete the aur kaccha khana khate the us samay na humare paas
mobile tha na TV na internet aur baat tak hum bol kar nahi karte the lekin aaj
dekh lo hum skyscrapers mein rehte hain Google pe search karte hain AI se baat
karte hain aur bina haath lagaye ghar ke kaam smart devices se karwa lete hain
ye sab generation by generation badlaav ka nateeja hai har daur ne hume naye
tareeke se jeena sikhaya isi tarah computer
ka development bhi ek hi baar mein nahi hua wo bhi apni journey mein kai stages
se guzra hai inhi stages ko hum Computer Generations kehte hain har generation
mein naye technology ka istemal kiya gaya jisse computer aur bhi chhota tez aur
smart bana chaliye ek ek generation ko asaan bhasha mein samajhte hain
1st Generation Computers (1940–1956): Vacuum Tubes Wale Computer
·
Ye computer vacuum tubes par kaam karte the
·
Bahut bade size ke hote the ek room jitne bade
·
Bahut zyada electricity consume karte the aur
heat bhi nikalte the
·
Programming ke liye machine language (0s aur 1s)
ka use hota tha
us samay ka computer ENIAC, UNIVAC tha to fir yaad rakhein First generation me Vacuum tube aur Machine
language wale computer the
2nd Generation Computers (1956–1963): Transistor Wale Computer
·
Ab vacuum tubes ki jagah transistors ka use hone
laga
·
Inka size chhota tha aur performance zyada acchi
thi
·
Programming mein assembly language ka use hone
laga
·
Power consumption aur heat generation kam tha
us samay ka computer IBM 1401, CDC 1604 tha Second generation me
Transistor aur Assembly language wale compute the
3rd Generation Computers (1964–1971): Integrated Circuit (IC) Wale Computer
·
Is generation mein IC (Integrated Circuit) ka
use hone laga
·
Ek IC mein kai transistor chip ke andar hote
hain
·
Speed aur efficiency kaafi badh gayi
·
Computers ab aur bhi chhote reliable aur
affordable ho gaye
·
Operating system ka concept bhi isi generation
mein aaya
Us time me IBM 360 series computers
thi aur yaad rakhein ki thir generation matlab IC
4th Generation Computers (1971–Aaj Tak): Microprocessor Wale Computer
·
Is generation mein microprocessor ka invention
hua
·
Microprocessor ek chhoti si chip jo pura CPU ka
kaam karti hai
·
Aaj ke personal computers laptops smartphones
sab isi generation ke hain
·
Programming ke liye high level languages jaise C
C++ Java use hoti hain
·
Internet ka vikas bhi isi generation mein hua
Is generation me Intel 4004, IBM PC, Dell Laptop computer the
aur is generation me microprocessor aur high level language ka use hoti thi
5th Generation Computers (Aane Waale Samay / Abhi Developing Hai): AI Wale Computer
·
Ye computer Artificial Intelligence (AI) aur Machine
Learning pe based hote hain
·
Voice recognition face detection robotics smart
assistants (Alexa, Siri) isi ka part hain
·
Ye khud seekhne wale aur intelligent machines
hote hain
5th generation me Artificial Intelligence aur self learning
system wale computer jaise ki AI Robot, Google Assistant, ChatGPT ko
use kiya jata hai
Computer Generations - Knowledge Test
Test your knowledge on different generations of computers:
Computer ke Pramukh Prakar (Types of Computer)
Aaj hum alag alag size power aur use ke hisaab se kai tarah ke computers
dekhte hain kahi chhote laptops hote hain kahi badebade server rooms aur kahi
rocket control karne wale super powerful machines lekin sabhi computers ek
jaise nahi hote unka kaam power aur size alag hota hai isi adhar par computers
ko 4 mukhya categories mein baanta gaya hai
1. Micro Computer – Personal Computer (PC)
·
Ye chhota aur sabse common type ka computer hota
hai
·
Aam log isse ghar office school aur cyber cafe
mein use karte hain
·
Iska size compact hota hai aur price bhi
affordable
·
Har ek vyakti ke daily use ke liye bana hota hai
Micro Computer me Desktop Computer Laptop Notebook
Tablet adi samil hai aur internet chalana typing games movies online classes
kaam ke liye use kiya jata hai.
2. Mini Computer – Medium Size Computer for Multiple Users
·
Ye micro computer se zyada powerful hota hai
·
Isse ek samay par multiple users kaam kar sakte
hain
·
Yeh mainly small businesses institutes ya labs
mein use hota hai
·
Iska size bada hota hai lekin super computer
jitna powerful nahi hota
PDP-11 VAX adi isi computer ki
category me ate hain aur data processing managing departmental servers small
enterprise tasks me use kiya jata hai.
3. Mainframe Computer – Badi Companies Ka Powerhouse
·
Ye high performance aur large data handle karne
ke liye banaye jaate hain
·
Isme hundreds ya thousands users ek saath kaam
kar sakte hain
·
Large organisations jaise banks railway
reservation systems telecoms isse use karte hain
·
Bahut high security aur speed hoti hai
4. Super Computer – Speed Ka Raja
·
Ye duniya ke sabse fast aur powerful computer
hote hain
·
Complex aur heavy calculations sirf ye kar sakte
hain
·
Iska use science weather forecasting space
research military Nuclear simulations climate modeling jaise fields mein
hota hai
·
Inka size ek pura room le sakta hai
PARAM (India) Summit (USA) Fugaku
(Japan) isi category me ate hai.
Types of Computer - Knowledge Test
Test your knowledge on different types of computers:
Computer ke Fayde aur Nuksan (Advantages and Disadvantages of Computer)
Jahan computer ne humare jeevan ko aasan banaya hai wahi
kuch aise pehlu bhi hain jahan iska galat ya atyadhik upyog nuksan bhi pahucha
sakta hai chaliye pehle jaante hain iske fayde phir samajhte hain kuch nuksan bhi
Computer ke Fayde (Advantages of Computer)
1. Tezi aur Efficiency
Computer lakho calculation sirf kuch seconds mein kar sakta
hai kahin bhi time waste nahi hota har
kaam fast hota hai
2. Data Storage aur Management
Hazaron files photos documents ko ek hi jagah safe aur
organised tarike se rakh sakte hain pen
drive hard disk cloud etc
3. Communication aur Connectivity
Computer ke madhyam se hum email video call chat ke through
duniya ke kisi bhi kone mein kisi se bhi baat kar sakte hain
4. Online Education aur E-learning
Computer ne online padhai ko aasaan aur sabke liye
accessible banaya hai YouTube Google Classroom Zoom etc.
5. Automation aur Time Saving
Factory machines ATM services online ticket booking sab kuch automated ho gaya hai jis se manav
mehnat aur samay dono bachta hai
6. Entertainment ka Bhandar
Movies games music social media har tarah ka manoranjan
aapko computer pe milta hai
Computer ke Nuksan (Disadvantages of Computer)
1. Health Problems
Lambi der tak computer ka use aankhon kamar aur haathon par
bura asar daal sakta hai jaise eye
strain back pain repetitive stress injuries
2. Internet Addiction aur Time Waste
Computer ke madhyam se log games social media mein itne
involve ho jaate hain ki samay ka pata hi nahi chalta
3. Unemployment (Berozgari)
Kai industries mein computers ke automation ne manual jobs
ki demand kam kar di hai
4. Cyber Crime aur Hacking
Computer ke through personal data churaana hacking virus
attack jaise cyber crime badh gaye hain
5. Data Loss aur Technical Faults
Kabhi hard disk crash ya virus attack se pura data delete ho
sakta hai. Regular backup zaruri hota hai
6. High Maintenance Cost
Computer ki regular maintenance antivirus hardware upgrades
mein kharche lagte hain
Computer ke Fayde aur Nuksan - Knowledge Test
Check your understanding about the pros and cons of computers:
Aasha karte hain ki aapko Computer Kya Hai se lekar uske itihas prakaar generation labh aur hani tak sab kuch aasani se samajh mein aaya hoga agar aapko yeh post pasand aayi ho ya aap kuch naya seekhe ho, to comment karna na bhoolein apne doston ke saath bhi share karein taaki unka bhi gyaan badhe Aise hi aur posts ke liye humein follow karein aur naye updates ke liye judey rahiye
No comments:
Post a Comment