Operating System Kya Hai? Types, Functions aur Examples – Aasaan Bhasha Mein Samjhein
Operating System Kya Hai?
Jab bhi aap apna computer, laptop ya mobile phone on karte
hain, sabse pehle jo software chalta hai use hi Operating System (OS) kaha
jaata hai. Ye ek system software hota hai jo user (aap) aur machine (hardware)
ke beech ek bridge ya connection banata hai.
Sochiye agar aapke computer ka hardware (CPU, RAM, Hard
Disk, Mouse, Keyboard) ek factory hai, to Operating System us factory ka manager
hai. Ye manager ensure karta hai ki har machine sahi samay pe kaam kare aur
kisi bhi tarah ka confusion na ho.
Agar OS na ho, to aap apne computer se baat hi nahi kar
sakte. Aap jab koi application open karte hain jaise Chrome, MS Word, ya
WhatsApp (mobile me), to wo OS ke through hi kaam karta hai. Operating System
hi ensure karta hai ki aapke inputs (keyboard/mouse) sahi jagah jayein, files
save ho, apps load ho, aur background me sab kuch smooth chale.
Operating System ke bina kya hota?
Sochiye ki aap ek computer use karna chahte hain lekin koi
guide, menu ya button hi nahi hai — sab kuch black screen! OS hi wo system hai
jo har kaam ko organize karta hai, screen pe cheezein dikhata hai, aur
user-friendly environment provide karta hai.
Operating System ek invisible helper hai jo aapke computer
ya mobile ko chalane me madad karta hai. Agar hardware computer ka body hai to
OS uska brain ya soul hai jo har part ko
sahi se kaam karne deta hai. Iske bina computer sirf ek dabba hota hai.
Operating System Kaise Kaam Karta Hai?
Jab aap apne computer ya mobile ko ON karte hain, sabse
pehle jo software load hota hai use Operating System (OS) kehte hain. Ab sawal
hai ye kaam kaise karta hai? Aaiye step
by step samajhte hain.
1. Booting Process Se Start Hota Hai
Computer start hote hi pehle BIOS ya firmware load hota hai,
jo Operating System ko memory me load karta hai. Is process ko booting kehte
hain. Ye OS ke har part ko RAM me laata hai taaki wo jaldi access ho sake.
2. User Interface Provide Karna
Jab OS load ho jata hai, wo ek interface (jaise ki Windows
desktop ya Android home screen) dikhata hai. Ye interface hi aapko computer ya
mobile se interact karne ka tareeka deta hai. Yahan se aap apps open kar sakte
hain, files access kar sakte hain, settings change kar sakte hain sab kuch graphical ya command ke through.
3. Resource Management
Operating System ke paas ek core responsibility hoti hai system ke saare resources ko manage karna,
jaise:
- CPU
time – Kaunsi app kab run karegi
- RAM
– Kaunse program ko kitni memory milegi
- Disk
Space – File kaha store hogi
- Input/Output
Devices – Keyboard, Mouse, Printer, etc. ka control
OS ensure karta hai ki sab kuch efficient aur safe tarike se
ho.
4. Multitasking Ka Management
Aaj ke modern OS ek time me kai tasks handle karte hain isse multitasking kehte hain. Jaise ki:
- Aap
music sun rahe hain
- Background
me file download ho rahi hai
- Word
document me kaam kar rahe hain
Operating System har task ko CPU ke andar Chhota chhota
samay deta hai jisse aapko lagta hai sab ek saath chal raha hai.
5. Security Aur Error Handling
OS aapke system ko unauthorized access se bachata hai (jaise
password system). Agar koi error ya crash ho jaye to OS hi error detect karke
system ko restart karta hai ya warning deta hai.
Operating System ke Pramukh Kaam (Functions of OS)
Operating System sirf ek software nahi, balki computer ka
dil dimaag hota hai. Ye akele hi computer ke hardware, software, aur user ke
beech connection banaye rakhta hai. Aaiye jaante hain OS ke main functions
yaani pramukh kaam ek ek karke:
Memory Management (Yaadashth ka Management)
Operating System decide karta hai ki kaunsa program kitni
RAM use karega. Jab aap ek app open karte ho, to OS uske liye memory allocate
karta hai. Jab app close kar dete ho, to wo memory free kar deta hai. Ye
process fast aur smooth functioning ke liye bahut important hoti hai.
Example: Jab aap Google Chrome aur MS Word ek saath
open karte hain, to OS un dono ko alag alag memory assign karta hai.
Process Management
Jab bhi koi program run hota hai, usse ek process kaha jata
hai. OS in processes ko manage karta hai kaunse process ko CPU milega, kab
milega, aur kitne time tak milega.
Example: Jab aap video dekh rahe hote hain aur
background me download chal raha hota hai, to OS dono process ko balance karta
hai.
File Management
Operating System aapke files aur folders ko organize karta
hai. Ye decide karta hai ki files ko kaha store kiya jaye, kaun access kar
sakta hai, aur unka backup kaise ho.
Example: Jab aap kisi file ko Save As karte hain aur
location choose karte hain (Desktop, D Drive etc.), to OS hi ye kaam karta hai.
Device Management
OS har input output device jaise keyboard, mouse, printer,
scanner ko control karta hai. Har device ke liye ek special driver hota hai,
jisse OS communicate karta hai.
Example: Jab aap pen drive lagate hain, to OS turant
usse detect karta hai aur explore karne ka option deta hai.
Security Management
Operating System aapke data ko unauthorized access se
protect karta hai. Password system, user permissions, firewall sab OS ka hi
part hain.
Example: Jab aap computer start karte ho aur password
maangta hai, ya kisi file pe lock lagate ho ye sab OS ke security function ke
kaaran hota hai.
Operating System ke Pramukh Prakar (Types of OS)
A. Functionality Ke Aadhar Par OS ke Pramukh Prakar:
Batch Operating System
Ye sabse pehla OS tha jo computer ke shuruati daur me use
hota tha. Isme users directly computer se interact nahi karte the, balki batch
me instructions de kar kaam karwaya jata tha. Pehle se likhi gayi jobs ko ek
sath input diya jata tha, aur output milne ke liye wait karna padta tha.
Example: 1950s–60s ke computers jahan punch cards ke
through jobs submit hoti thi.
Time-Sharing Operating System
Is system me CPU ka samay har user ko thoda-thoda milta hai.
Isse multiple users ek hi system ko same time par use kar sakte hain, bina
delay ke. Isse multitasking bhi possible hoti hai.
Example: UNIX operating system.
Distributed Operating System
Is OS me multiple computers connected hote hain via network,
aur ek hi kaam ko milke complete karte hain. User ko lagta hai ki wo ek hi
system use kar raha hai, lekin kaam alag-alag machines me distribute hota hai.
Example: LOCUS, Amoeba.
Network Operating System
Ye OS mainly un computers ke liye hota hai jo ek network me
connected hote hain. Iska main kaam hota hai file sharing, printer access, user
management across a network.
Example: Novell NetWare, Microsoft Windows Server.
Real-Time Operating System (RTOS)
RTOS ka response time bahut fast hota hai. Iska use un
systems me hota hai jahan decision turant lena hota hai — jaise missile system,
robotics, medical systems.
Example: VxWorks, RTLinux.
Mobile Operating System
Ye OS specially mobile phones ke liye design kiye jaate
hain. Inme touch interface, battery management, and app environment optimized
hota hai.
Example: Android, iOS, KaiOS (feature phones me).
B. User Interface ke Aadhar Par OS ke Prakar:
Ab chaliye samajhte hain Operating System ke interface
types, yaani user OS ke saath kaise interact karta hai:
1. CUI (Character User Interface)
Use Case: Developers aur system administrators ke liye jyada control.
2. GUI (Graphical User Interface)
Use Case: Common users, office work, education.
Har OS ka apna role hota hai. Aaj ke samay me GUI OS
jyada popular hai general users ke beech, lekin CUI OS bhi technical
logon ke liye powerful tool hai.
Popular Operating Systems ke Examples
Aaj ke samay mein kai tarah ke operating systems use kiye ja
rahe hain, alag alag devices aur users ke need ke hisaab se. Chliye dekhte hain
kuch most popular OS jo different fields me widely use hote hain:
1. Microsoft Windows
- Developer:
Microsoft
- Interface:
GUI
- Use:
School, college, office, home sab jagah sabse jyada use hone wala OS.
- Popular
Versions: Windows 10, Windows 11
- Devices:
Desktop, Laptop
2. macOS
- Developer:
Apple Inc.
- Interface:
GUI
- Use:
Mainly graphic designers, video editors, aur Apple device users ke liye.
- Popular
Versions: macOS Ventura, macOS Monterey
- Devices:
Apple MacBook, iMac
3. Linux
- Developer:
Community-based (Open Source)
- Interface:
CUI + GUI (depends on distro)
- Use:
Programming, servers, cyber security, ethical hacking, etc.
- Popular
Distros: Ubuntu, Fedora, Kali Linux
- Devices:
Desktop, Server, Raspberry Pi
4. Android
- Developer:
Google
- Interface:
GUI
- Use:
Sabhi smartphones aur tablets me sabse jyada popular OS.
- Popular
Versions: Android 12, Android 13
- Devices:
Samsung, Vivo, Oppo, Xiaomi, OnePlus
5. iOS
- Developer:
Apple Inc.
- Interface:
GUI
- Use:
iPhones aur iPads me use hota hai. Secure aur smooth performance ke liye
famous hai.
- Popular
Versions: iOS 16, iOS 17
- Devices:
iPhone, iPad
6. Chrome OS
- Developer:
Google
- Interface:
GUI
- Use:
Lightweight OS mainly for web browsing aur cloud-based kaam ke liye.
- Popular
In: Schools and online learning
- Devices:
Chromebook laptops
Operating System aur Software ke Beech Antar
Bahut logon ke man mein yeh confusion hota hai ki Operating System bhi ek software hi hota hai, to fir normal software (jaise MS Word, VLC Player) aur OS me kya difference hai? Chaliye is confusion ko aasaan bhaasha mein samjhte hain
Operating System ek system software hota hai jo computer ko
chalata hai, jabki baaki apps (software) user ke kaam ke liye banaye jaate hain jaise typing, video dekhna, games khelna.
Point |
Operating System (OS) |
Application Software |
Definition |
Ye system
software hai jo computer ka control center hota hai |
Ye
programs hote hain jo specific task ke liye use hote hain |
Purpose |
Computer
ko chalane ke liye zaroori hai |
User ke
personal kaam ke liye hota hai |
Examples |
Windows,
Linux, Android, macOS |
MS Word,
Chrome, VLC, Photoshop |
Installed
First? |
Sabse
pehle OS install hota hai |
OS ke
baad install kiya jata hai |
Access to
Hardware |
Direct
hardware access hota hai |
Hardware
access OS ke through hota hai |
Control |
Pura
system control karta hai |
Sirf
specific kaam karta hai |
Test Your Knowledge – Operating System (OS)
Agar aapko yeh post Operating System kya hai aur uske pramukh prakar samajhne mein helpful laga ho, to please comment karke zaroor batayein. Aapke doubts ya suggestions hume aur behtar content banane mein madad karte hain aur Share karna na bhoolein apne doston ke saath jo Computer seekh rahe hain ya exams ki tayari kar rahe hain.
No comments:
Post a Comment