Windows 11 Kya Hai? Features, System Requirements Aur Comparison – Full Guide in Hindi

Infographic showing minimum system requirements for Windows 11 with a laptop screen and feature labels like RAM, storage, processor, TPM 2.0, and UEFI.

 Windows 11 Kya Hai? Features, System Requirements Aur Comparison – Full Guide in Hindi

Jab hum computer ke naye operating systems ke baare mein baat karte hain, to sabse pehla naam aata hai Microsoft Windows ka. Windows 11, Microsoft ka latest version hai jo October 5, 2021 ko launch hua. Yeh Windows 10 ke baad aaya aur naye design, features aur performance ke saath aaya hai.

Agar aap soch rahe hain ki Windows 11 kya hai, kya naye features hain, kya system chahiye install karne ke liye, to aap bilkul sahi jagah par hain.

Windows 11 Kya Hai? 

Windows 11 ek GUI (Graphical User Interface) based Operating System hai jo Microsoft dwara develop kiya gaya hai. Yah Microsoft ka ab tak ka sabse latest aur advanced OS hai jo pehli baar 5 October 2021 ko officially launch kiya gaya tha. Yeh OS specially naye hardware aur modern user experience ke liye design kiya gaya hai, jisme naye Start Menu, Taskbar, Widgets, aur Snap Layouts jaise smart features diye gaye hain. Windows 11 performance, security, multitasking aur productivity ke mamle mein Windows 10 se kaafi aage hai. Yeh mainly touch screen, hybrid devices, aur gaming ke liye bhi behtar optimize kiya gaya hai. Iska interface zyada clean, smooth aur MacOS jaisa feel deta hai.

Windows 11 Ke Key Features

1. Brand New User Interface (UI)

Windows 11 ka sabse pehla noticeable feature hai iska completely redesigned user interface. Windows 10 ke comparison me, Windows 11 zyada sleek aur modern lagta hai. Start Menu ab center me shift ho gaya hai, jo pehle left corner me hota tha. Rounded corners, transparent effects (acrylic blur), aur minimalist icons isse ek MacOS ya ChromeOS jaisa feel dete hain. Yeh interface productivity ke saath-saath aesthetic appeal bhi badhata hai.

Steps to Check:

  1. Right-click on Taskbar → Click on Taskbar settings
  2. Scroll down to Taskbar behaviors
  3. Under Taskbar alignment, select Center or Left
  4. Default me Center selected hota hai – yahi Windows 11 ka naya layout hai

 2. Snap Layouts & Snap Groups

Multitasking ab aur bhi aasaan ho gaya hai. Windows 11 me Snap Layouts ka feature diya gaya hai jisse aap ek hi screen par multiple apps ko easily manage kar sakte hain – jaise 2, 3 ya 4 windows ko screen me grid format me snap karna.Snap Groups aapke snapped apps ka ek group bana leta hai, taaki aap unhe easily ek saath minimize, maximize, ya switch kar sakein.

Steps to Use Snap Layouts:

  1. Kisi bhi window ke maximize icon (top right corner) par mouse le jayein
  2. Snap Layouts ka grid open hoga (2, 3 ya 4 sections ke options)
  3. Kisi ek section par click karein
  4. Baaki sections me doosre windows snap karne ka option aayega

Snap Groups:

  • Jab aap multiple windows ko Snap kar lete hain, Windows unka ek Snap Group bana leta hai
  • Alt + Tab ya taskbar se aap us group ko ek saath open kar sakte hain

 3. Widgets Panel

Windows 11 me ek dedicated Widgets Panel diya gaya hai jo left side se slide karke open hota hai. Is panel me aapko weather updates, news, calendar, tasks, photos aur stocks jaise tools milte hain. Yeh AI-based hota hai, jo aapke interest ke hisaab se content suggest karta hai.

Steps to Open:

  1. Taskbar me Widgets icon par click karein (weather/news ka symbol hota hai)
  2. Nahi dikh raha? → Right-click Taskbar → Click Taskbar settings → Toggle ON “Widgets”
  3. Aap “Customize” ya “Add Widgets” karke apna content personalize kar sakte hain

 4. Android Apps Support

Ek aur major upgrade hai  Android apps ka support Windows 11 me diya gaya hai. Aap Microsoft Store ke through Amazon Appstore se Android apps download kar sakte hain. Yeh especially un logon ke liye faydemand hai jo smartphone apps ko PC par use karna chahte hain.

Steps to Use:

  1. Open Microsoft Store
  2. Search for “Amazon Appstore” → Install it
  3. System me Windows Subsystem for Android automatically install hoga
  4. Amazon account se sign-in karke Android apps install kar sakte hain

(Note: Ye feature sirf USA region me fully available hai, India me rollout process me hai)

5. Virtual Desktops Ka Improved Support

Windows 10 me bhi virtual desktops ka feature tha, lekin Windows 11 me yeh zyada powerful ho gaya hai. Aap alag alag desktops bana sakte hain – ek personal ke liye, ek work ke liye, ek study ke liye, etc. Har desktop ka alag wallpaper, settings aur layout ho sakta hai.

Steps to Use:

  1. Taskbar me “Task View” icon (2 overlapping rectangles) par click karein
  2. Neeche “New Desktop” button par click karein
  3. Har desktop ka naam, background aur apps alag rakh sakte hain
  4. Keyboard Shortcut:
    • Win + Tab = Open Task View
    • Win + Ctrl + D = New Virtual Desktop
    • Win + Ctrl + Left/Right Arrow = Switch desktops

6. Gaming Features: Auto HDR & Direct Storage

Gaming lovers ke liye Windows 11 ne kuch zabardast features introduce kiye hain:

  • Auto HDR – Colors aur contrast ko enhance karta hai even in non-HDR games.
  • Direct Storage – Games ke load time ko drastically kam karta hai, specially agar aapke paas SSD hai.

Check Auto HDR:

  1. Open Settings → System → DisplayHDR
  2. Agar aapke monitor aur GPU compatible hai to Auto HDR toggle ON dikhega
  3. Game mode bhi enable hona chahiye: Settings → Gaming → Game Mode → ON

 7. Improved Security & TPM 2.0 Requirement

Windows 11 me hardware-level security par bhi focus diya gaya hai. Isliye TPM 2.0 (Trusted Platform Module) ko mandatory kiya gaya hai. TPM help karta hai encryption, secure boot aur Windows Hello jaise features ko enable karne me, jisse overall system zyada secure ho jata hai.

Check TPM Version:

  1. Press Win + R → Type tpm.msc → Enter
  2. TPM Management window open hoga
  3. Right panel me TPM version check karein – agar 2.0 hai to compatible hai

Other Security Settings:

  • Settings → Privacy & Security → Windows Security
  • Yahan se Virus Protection, Firewall, Device Security, Secure Boot jaise options ko manage kar sakte hain

8. Microsoft Teams Integration

Ab Windows 11 me Microsoft Teams ko directly Taskbar me integrate kar diya gaya hai. Aap video calls, chats ya screen sharing bina app open kiye kar sakte hain. Ye feature students, professionals aur remote workers ke liye kaafi useful hai.

Start a Teams Chat:

  1. Taskbar me Teams Chat icon par click karein (chat bubble icon)
  2. First time me sign-in karna padega
  3. Directly message, voice call ya video call kar sakte hain
  4. Settings me jaake aap Teams ko hide bhi kar sakte hain

 9. Touch, Pen, Voice Input Enhancements

Agar aap touchscreen laptop use karte hain to Windows 11 me touch gestures, digital pen support, aur voice typing features ko significantly improve kiya gaya hai. Pen ka use karne par vibration feedback bhi milta hai, jisse lagta hai jaise aap real paper par likh rahe ho.

Use Voice Typing:

  1. Kisi bhi text area me cursor le jayein
  2. Press Win + H → Voice Typing toolbar open hoga
  3. Bolna shuru karein – text automatic likha jayega

Use Touch Gestures:

  • Swipe 3 fingers up → Task View
  • Swipe 3 fingers left/right → Switch apps
  • Ye gestures touch screen laptops/tablets me kaam karte hain

10. New Microsoft Store

Windows 11 ka Microsoft Store bhi puri tarah se redesign kiya gaya hai – yeh ab zyada fast, responsive aur user friendly ho gaya hai. Ab isme Win32 apps, UWP apps aur Progressive Web Apps (PWA) sabhi available hain – jisse developers aur users dono ko benefit milta hai.

How to Use:

  1. Open Microsoft Store from Taskbar or Start Menu
  2. Interface fast and clean hai – search bar me apps, games, tools dhoondh sakte hain
  3. UWP, Win32 aur Android apps (limited rollout) available hain
  4. Aapke installed apps ki updates bhi yahan se manage hoti hain

Windows 11 ke Minimum System Requirements

Yahan Windows 11 ke Minimum System Requirements ko detail mein samjhaya gaya hai. Agar aap apne computer ya laptop mein Windows 11 install karna chahte hain, to pehle yeh ensure kar lijiye ki aapka system in requirements ko fulfill karta hai:

1. Processor

  • Requirement: 1 gigahertz (GHz) ya usse zyada, 2 ya usse adhik cores ke saath, 64-bit compatible processor.
  • Details: Processor ko Secure Boot aur TPM 2.0 ko support karna chahiye. Intel 8th Gen ya AMD Ryzen 2000 series ke baad wale processors hi officially supported hain.

 2. RAM (Memory)

  • Requirement: Minimum 4 GB RAM
  • Details: Zyada RAM hone se system aur smoothly chalega. 8 GB ya usse zyada RAM recommended hai better performance ke liye.

 3. Storage

  • Requirement: Minimum 64 GB Storage
  • Details: Windows 11 install karne ke baad additional updates ke liye bhi jagah chahiye hoti hai. SSD hone se performance kaafi better hota hai.

 System Firmware

  • Requirement: UEFI, Secure Boot capable
  • Details: Traditional BIOS systems support nahi karte Windows 11 ko. UEFI (Unified Extensible Firmware Interface) hona zaroori hai.

 TPM (Trusted Platform Module)

  • Requirement: TPM version 2.0
  • Details: TPM security ke liye important hai. Yeh ek physical chip hoti hai jo system ke integrity ko maintain karti hai. Laptop ya motherboard ke BIOS settings mein TPM enable hona chahiye.

 Graphics Card

  • Requirement: DirectX 12 compatible graphics card with WDDM 2.0 driver
  • Details: Windows 11 ka new UI (jaise rounded corners, transparency, animations) smoothly chalane ke liye yeh zaroori hai.

 Display

  • Requirement: 9” inch display with HD Resolution (720p), 8 bits per color channel
  • Details: Windows 11 touch-friendly aur high-resolution ke liye optimize kiya gaya hai. Display clarity zaruri hai.

 Internet Connection & Microsoft Account

  • Requirement:
    • Home edition ke liye internet connection aur Microsoft account mandatory hai setup ke time.
    • Pro edition ke liye bhi internet required ho sakta hai initial updates ke liye.

 How to Check Compatibility

Aap Microsoft ka official PC Health Check Tool download karke easily check kar sakte hain ki aapka system Windows 11 ke liye eligible hai ya nahi.

Windows 11 MCQ Quiz

1. Windows 11 ko kis company ne develop kiya hai?

Apple
Google
Microsoft
Intel

2. Windows 11 ka default Start Menu kis jagah hota hai?

Left
Right
Center
Top

3. Windows 11 me Snap Layouts kis cheez ke liye use hota hai?

File Delete karne ke liye
Apps ko Organize karne ke liye
Antivirus Scan ke liye
Audio Play karne ke liye

4. Windows 11 install karne ke liye minimum RAM kitni honi chahiye?

2 GB
4 GB
8 GB
16 GB

5. Windows 11 me kaunsa feature Android Apps run karne me madad karta hai?

Cortana
Microsoft Edge
Microsoft Store
Windows Subsystem for Android

Agar aapko yeh blog post pasand aaya ho aur Windows 11 ke features, system requirements aur comparisons samajh mein aaye ho, to niche diye gaye MCQ quiz zarur solve karein. Isse aapko apne knowledge ka test karne ka mauka milega.
Aur haan, agar aap naye hain, to blog ko bookmark karna na bhoolein aur naye posts ke liye regular visit karte rahen!


No comments:

Post a Comment