Computer Virus Kya Hota Hai? Jaane Lakshan, Prakar aur Bachav – Simple Hindi Guide

Computer infected with virus showing warning sign on screen and bugs crawling on monitor


 Computer Virus Kya Hota Hai? Jaane Lakshan, Prakar aur Bachav – Simple Hindi Guide

Sochiye aapka computer ekdum theek-thaak chal raha hai, aur ek din achanak se… files open nahi ho rahi, system slow ho gaya hai, ya khud-ba-khud ads pop-up ho rahe hain. Shayad aap samajh bhi nahi paate ke dikkat kya hai  lekin andar hi andar aapka computer ek “Virus” se infected ho chuka hota hai.

Bilkul, Computer Virus bhi ek tarah ka digital bimari hai. Jaise insaan ko viral fever ho jata hai, waise hi computer ko bhi ek malicious program (kharab software) lag jata hai, jo bina aapke jaane system ke andar ghus kar nuksan pahunchata hai. Computer Virus ka kaam hota hai  Files corrupt karna, Data delete ya chura lena, System ko slow kar dena, Personal information ka misuse karna

Sabse khatarnak baat ye hai ki ye virus khud ko copy karke dusre files, folders ya even internet ke zariye dusre systems me bhi faila sakta hai.

Aapko lagta hai ki sirf email ya USB se hi virus aata hai? Nahi boss, aajkal to fake websites, cracked software, aur free download links bhi virus ka ghar ban chuke hai.

Agar aap chahte hain apne system ko surakshit rakhna, to zaroori hai pehle samjhein "Computer Virus kya hota hai, kaise failta hai, kya lakshan hote hain, aur kaise bacha jaaye." To chaliye, iss post me hum detail me jaante hain Computer Virus ki duniya ke bare me

 

A digital illustration of a computer screen showing virus warning with Hindi text 'VIRUS क्या है?' and a surprised young man in the background

Computer VIRUS Kya Hai

Computer virus ek program ya code hota hai jo aapke computer system me bina aapki permission ke ghus jata hai aur system ko nuksan pahuchata hai. Jaise insaan ko bimari hone par body thik se kaam nahi karti, waise hi computer ko virus lagne par performance slow, data loss, ya file corrupt jaise symptoms dikhte hain.

Virus ko is tarah design kiya jata hai ki ye apne aap ko replicate (copy) karta hai, yani ek file se doosri file me ya ek device se doosri device me fail jata hai. Ye programs generally aise source se aate hain jo trusted nahi hote, jaise:

  • Unknown email attachments
  • Pirated software
  • Infected pen drive
  • Fake websites
  • Free download links

Computer virus sirf ek hi kaam ke liye nahi bana hota. Kuch virus simple hote hain jo system ko thoda slow karte hain, jabki kuch dangerous virus aapke poore data ko encrypt karke aap se ransom (paise) bhi maangte hain  ise Ransomware kehte hain.

Kya aap jaante hain VIRUS ka full form kya hota hai?

VIRUS – Vital Information Resources Under Siege. Iska matlab hai ki aapke computer ki zaroori jankari (vital information) par kisi ne kabza (siege) kar liya hai. Yeh naam isliye diya gaya kyunki computer virus bina user ke jaane system me ghus jata hai, aur uske data ko ya to damage karta hai, ya misuse karta hai.

Virus Naam Kyun?

Iska naam virus isliye pada kyunki iska nature biological virus jaisa hota hai  yani ye infect karta hai, failta hai, aur nuksan pahuchata hai. Pehla computer virus 1986 me bana tha jiska naam tha Brain Virus, jo floppy disk ke zariye failta tha.

Aaj ke zamane me, virus ke naye naye advanced form aa gaye hain  kuch system ke peeche chip jate hain (Trojan), kuch screen lock kar dete hain (Locker Virus), aur kuch email ke zariye spam failate hain (Email Virus).

Jaruri Point:

  • Virus bina user ke jaanne ke run hota hai.
  • Ye dusre files me chhup jata hai.
  • Internet aur USB ke zariye asani se failta hai.
  • Antivirus se iska detection aur removal possible hai.

Agar aap computer user hain, to aapko virus ke bare me jankari honi chahiye, taki aap apne system ko surakshit rakh sakein.

Computer Virus Ka Itihaas – Kaise Shuru Hua Ye Digital Sankat

Computer virus ka itihaas 1980s se shuru hota hai, jab pehli baar logon ne dekha ki koi program bina user ke control ke system me fail raha hai. Ye tha computer duniya ka pehla infection.

1986 – Brain Virus

Sabse pehla virus Brain Virus tha, jo Pakistan ke do bhaiyo ne banaya tha – Basit aur Amjad Farooq Alvi. Ye virus floppy disk ke zariye dusre computers me failta tha. Iska maksad jankari dena tha, koi nuksan nahi.

1988 – Morris Worm

Morris Worm ek aisa virus tha jo Internet ke zariye fail gaya. Ye virus America ke university network me tezi se fail gaya aur thousands system down ho gaye. Isse pehli baar governments ko samajh aaya ki cyber threat real hai.

1990s – Macro Virus Aur Email Virus

90 ke dashak me Microsoft Word jaise softwares me macro virus failne lage. Ek famous virus tha Melissa, jo email ke attachments ke through logon ke inbox me aata tha aur apne aap doosre users ko send ho jata tha.

2000 ke baad – Advanced Virus

2000 ke baad virus banane wale zyada smart ho gaye. Ab virus sirf system slow nahi karte, balki

  • Data chura lete hain (Spyware)
  • Paise maangte hain (Ransomware)
  • Control le lete hain (Trojan Horse)

Aaj ke samay me har second kai naye virus banaye ja rahe hain. Isi wajah se antivirus software aur cyber security kaafi important ho gayi hai.

Computer Virus Ke Pramukh Prakar (Types of Computer Virus)

Computer virus alag alag tareekon se kaam karte hain, isliye unka classification bhi unke kaam ke aadhar par kiya jaata hai. Ayiye jante hain kuchh pramukh prakar ke virus ke bareme:

1. File Infector Virus

Ye virus aapke .exe ya .com jaise executable files me ghus jata hai. Jab bhi aap file open karte hain, virus active ho jata hai aur system me failne lagta hai.

Example: CIH (Chernobyl) virus

2. Boot Sector Virus

Ye virus hard disk ke boot area me attack karta hai, jahan se computer start hota hai. Iska infection computer ke chalu hote hi active ho jata hai.

Example: Michelangelo virus

3. Macro Virus

Ye Microsoft Word, Excel jaise documents me macro code ke form me chhupa hota hai. Jab aap document open karte hain, ye virus bhi kaam karna shuru karta hai.

Example: Melissa virus

4. Worm

Worm ek aisa virus hota hai jo khud ko copy karta hai aur network ke zariye dusre systems me chala jata hai. Isse system slow ho jaata hai.

Example: ILOVEYOU worm

5. Trojan Horse

Ye virus ek useful program ke disguise me aata hai, par andar se nuksan pahunchata hai. Iska kaam hota hai data churaana ya hacker ko access dena.

Example: Zeus Trojan

6. Ransomware

Ye sabse khatarnak virus hai jo aapka data encrypt kar deta hai aur paise (ransom) maangta hai file wapas dene ke liye.

Example: WannaCry

In viruses se bachne ke liye hamesha updated antivirus ka use karein aur unknown files/downloads se bachein.

Computer Virus Kaise Failta Hai? (How Computer Virus Spreads)

Aaj ke digital yug mein computer virus bahut tarike se fail sakta hai. Kai log samajhte hain ki sirf internet se virus aata hai, lekin asal mein uske sources alag alag ho sakte hain. Chaliye aasan bhasha mein samjhte hain:

1. Pen Drive / USB Device ke Zariye

Jab aap kisi infected pen drive ko apne computer me lagate hain, tab virus automatically copy ho jaata hai. Aksar log bina scan kiye USB use kar lete hain.

Bachaav: Hamesha USB lagane se pehle antivirus se scan karein.

2. Internet aur Downloads se

Free software, games ya cracks download karte waqt virus zip ya exe file ke form me chhupkar aata hai. Infected websites bhi virus spread karti hain.

Bachaav: Trusted websites se hi download karein, aur ad-blocker + antivirus active rakhein.

3. Email Attachments

Unknown sender ke email me jo attachments hote hain, unke zariye macro virus ya trojan ghus jaata hai. Logo ko click karne par majboor kiya jaata hai.

Bachaav: Unknown emails ko open na karein. "Click here" ya suspicious links se door rahein.

4. Software Piracy

Jab aap cracked software ya illegal games install karte hain, unme trojan ya ransomware chhupa hota hai.

Bachaav: Hamesha genuine software ka use karein.

5. Network aur Wi-Fi

Agar aap public Wi-Fi use karte hain, to hackers aapke system me malware bhej sakte hain. Worms bhi network ke zariye failte hain.

Bachaav: Secure Wi-Fi ka use karein aur firewall hamesha ON rakhein.

Virus Aane ke Lakshan – Computer Me Virus Hone Ki Nishaniyan

Jab aapke computer me virus aa jata hai, to kuch clear signs ya symptoms dikhne lagte hain. In virus ke lakshanon ko samajhna bahut zaroori hai, taaki aap time par action le sakein.

chaliye kuch common computer virus ke lakshan (symptoms) ke bareme jante hain:

 

1. Computer Ka Dheere Chalna (Slow Performance)

Agar aapka system pehle fast chalta tha, lekin ab open hone me time lagta hai, programs late start hote hain  to samjhiye kuch gadbad hai. Kyon kiVirus background me processes chala raha hota hai jo RAM aur CPU consume karta hai.

2. Bar Bar Restart Ya Hang Hona

Computer bar bar restart ho raha ho ya bekar reason ke bina hang ho jaye  ye ek strong sign hai ki koi malicious program kaam kar raha hai.

3. Unknown Pop-ups Ya Ads Aana

Achanak se browser me unwanted ads, pop-ups, ya new tabs open hone lagen — to ye adware ya malware ka signal ho sakta hai.

4. Files Ka Disappear Ya Rename Ho Jana

Aapki personal files gayab ho gayi ho ya unke naam change ho gaye ho (jaise .exe, .lnk, ya .locked) to aapka system ransomware se infected ho sakta hai.

5. Antivirus Disable Ho Jana

Agar aapka antivirus software khud band ho jaye ya update na ho paaye, to ye bhi virus ka kaam ho sakta hai.

6. Unknown Programs Ka Install Ho Jana

Aapne koi program install nahi kiya phir bhi kuch apps aa gaye ho  iska matlab hai virus ne system me entry le li hai.

Computer Virus Se Kaise Bachein? (Best Tips to Protect Your Computer)

Computer virus se bachav karna mushkil nahi hai, bas aapko thoda sa alert rehna hoga. Yahan kuchh simple aur practical tips diye gaye hain jo aapke computer ko safe rakhne me madad karenge.

1. Hamesha Antivirus Software Use Karein

Free ya paid antivirus jaise Quick Heal, Avast, Kaspersky, Bitdefender use karen. Ye software real-time protection dete hain.

Tip: Auto-update aur real-time scan ON rakhein.

2. Untrusted Websites aur Downloads Se Bachein

Cracked software, movies, ya free game ke naam par virus aa jata hai. Unknown pop-ups aur ads par click mat karein.

Tip: Sirf trusted sources se hi files download karein.

3. Suspicious Emails & Attachments Open Na Karein

Agar aapko kisi unknown email ID se message aaye, to uske links ya attachments mat kholein. Ye phishing ya malware ho sakta hai.

Tip: Gmail me spam alerts ka dhyan rakhein.

4. USB & External Device Ko Pehle Scan Karein

Pen drive, memory card ya external HDD lagane se pehle usse antivirus se scan kar lena chahiye.

Tip: Auto-run feature disable rakhein.

5. Operating System Aur Software Ko Update Karte Rahen

Windows, macOS ya Linux ko regularly update karna zaruri hai. Har update me security patches aate hain jo naye virus se bachate hain.

Tip: Auto-update ON karein.

6. Firewall Enable Rakhein

Firewall ek digital gatekeeper hota hai jo unauthorized access se system ko bachata hai.

Tip: Windows firewall ya third-party firewall ON rakhein.

Computer Virus MCQs

Computer Virus – Multiple Choice Questions

1. Computer virus kya hota hai?

(a) Ek hardware device
(b) Ek programming language
(c) Ek malicious software
(d) Ek operating system

2. Nimn me se kaun ek virus ka lakshan hai?

(a) Computer tez chalna
(b) Unexpected error messages
(c) Battery backup ka badhna
(d) Display ka aur clear hona

3. Virus se computer ko kaise bachaya ja sakta hai?

(a) Antivirus install karke
(b) Virus ko download karke
(c) Virus files ko share karke
(d) Internet band karke

4. Kaunsa device virus se prabhavit ho sakta hai?

(a) Mouse
(b) Keyboard
(c) Storage Device
(d) Monitor

5. 'ILOVEYOU' kya tha?

(a) Ek email service
(b) Ek antivirus software
(c) Ek famous virus
(d) Ek game

Aaj ke digital zamane mein computer virus ek serious threat ban chuka hai. Is article ko padhne ke baad kya aapko lagta hai ki aapka computer safe hai? Agar doubt hai, to turant scan kijiye. Humein comment karke batayein ki aapko yeh post kaisi lagi. Agar aapke paas koi suggestion ya question hai to wo bhi zaroor likhein.


No comments:

Post a Comment

Antivirus Kya Hai? Best Antivirus Software Ki Puri Jankari (Hindi Guide)

Antivirus Kya Hai? Best Antivirus Software Ki Puri Jankari (Hindi Guide)  Aaj ke digital yug mein computer ya mobile phone ka use har koi...

Popular Posts