Slow Computer Ko Fast Kaise Karen – Windows 10/11 Speed Boost Tips

Windows 11 slow computer before and after speed improvement illustration – PC optimization and speed boost tips.

Slow Computer Ko Fast Kaise Karen – Windows 10/11 Speed Boost Tips

Jab hum ek naya computer ya laptop kharidte hain, to shuru ke dino me wo ekdum fast aur smooth kaam karta hai. Lekin time ke sath-sath system dheere hone lagta hai. File open karne me delay, apps hang hone lagna aur internet browsing slow ho jaana common problems hain. Ye sab dekhkar user frustrated ho jata hai. Lekin tension lene ki zarurat nahi hai, kuch simple steps follow karke aap apne slow computer ko fir se fast bana sakte ho.

Common Reasons for Computer Slow Hone Ke

Computer ke slow hone ke peeche kai technical reasons hote hain:

  1. Junk aur Temporary Files – Jab aap internet use karte ho ya koi software install/uninstall karte ho, to system temporary files generate karta hai. Ye files automatically delete nahi hoti aur C: drive me jama ho jaati hain.
  2. Startup Apps – Bahut saare programs apne aap startup me load ho jaate hain jaise Zoom, Skype, Spotify, Adobe updater, etc. Ye booting ko slow kar dete hain.
  3. Kam RAM – Agar aapka RAM 4GB hai aur aap ek sath Chrome, MS Word, WhatsApp Desktop aur ek game open kar lete ho to system slow ho jaata hai.
  4. Malware/Virus – Yeh background me chhupkar RAM aur CPU use karte hain, aur kabhi-kabhi ads pop-up karna start kar dete hain.
  5. Hard Disk Full ya Fragmented – Jab HDD 80–90% bhar jati hai to naye files ke liye jagah banana mushkil hota hai, isse read/write speed slow ho jaati hai.
  6. Outdated Drivers/Windows – Purane drivers hardware ko efficiently use nahi kar pate, jisse speed gir jaati hai.

Step 1: Unwanted Programs aur Startup Apps Disable Karna

Steps (Windows 10/11):

  1. Ctrl + Shift + Esc press karke Task Manager open kijiye.
  2. “Startup” tab pe click kijiye.
  3. Yahaan aapko sare apps list me dikhai denge jo Windows ke sath start hote hain.
  4. Jo apps aap rarely use karte ho (Spotify, Adobe Updater, Microsoft Teams agar daily use nahi karte), unpe right-click karke Disable kar dijiye. Isse aapka booting time easily 30–40% fast ho jayega.

Step 2: Temporary Files Aur Cache Clean Karna

Temporary files computer ke andar space waste karte hain aur system ko slow kar dete hain.

Manual Cleanup:

  1. Windows + R press kijiye.
  2. temp type karke Enter dabaiye → jitne bhi files dikhe unhe delete kar dijiye.
  3. Fir dobara Windows + R dabaiye, %temp% type kijiye → un files ko bhi delete kar dijiye.
  4. Fir ek aur baar Windows + R, prefetch likhiye → un files ko delete kar dijiye.

Disk Cleanup Tool:

  1. Windows search bar me “Disk Cleanup” type kijiye.
  2. C: drive select kijiye.
  3. Temporary Internet Files, Thumbnails, Recycle Bin select karke “OK” dabaiye.

Windows 11 Users:

  1. Settings > System > Storage me jaiye.
  2. Storage Sense ON kijiye → ye automatically junk aur temp files clean karta rahega.

Step 3: Virus Aur Malware Scan Karna

Steps:

  1. Windows Security search bar me open kijiye.
  2. Virus & Threat Protection > Quick Scan chalayie.
  3. Agar aapko lagta hai ki deep virus ho sakta hai to Full Scan select kijiye.

Free Antivirus Options:

  • Avast Free Antivirus (lightweight aur effective).
  • AVG Antivirus.
  • Malwarebytes (malware aur adware ke liye best).

Tip: Har mahine ek full system scan karna chahiye.

Step 4: RAM Aur Virtual Memory Optimize Karna

Agar aapke paas kam RAM hai aur multitasking karte ho, to system slow ho jayega.
Virtual Memory Increase Karne Ke Steps:

  1. Windows search bar me “Performance” likhkar Adjust the appearance and performance of Windows open kijiye.
  2. Advanced tab pe click kijiye > Virtual Memory section me Change pe click kijiye.
  3. “Automatically manage paging file size” ka tick hataye.
  4. C: drive select karke Custom Size choose kijiye.
  5. Initial Size me apne RAM ka 1.5x aur Maximum Size me 3x value dijiye.
    Example: Agar RAM 4GB (4096 MB) hai → Initial: 6000 MB, Maximum: 12000 MB.
  6. OK dabaiye aur system restart kijiye.

Step 5: Hard Disk Optimization

HDD Defragmentation:

  1. Search bar me “Defragment and Optimize Drives” type kijiye.
  2. C: drive select karke “Optimize” dabaiye.
  3. Ye fragmented files ko properly arrange karega, jisse speed badh jaati hai.

SSD Upgrade:

Agar aap abhi bhi HDD use kar rahe ho to SSD install karna sabse best solution hai. SSD ke sath:

  • Booting 1–2 minutes se ghatkar 15–20 seconds ho jaata hai.
  • Software aur games jaldi load hote hain.

Step 6: Software Update Karna

Windows Update:

  1. Settings > Update & Security > Windows Update me jaiye.
  2. “Check for updates” click karke latest version install kijiye.

Driver Update:

  1. Device Manager open kijiye.
  2. Har hardware (Display Adapter, Network Adapter, Audio) pe right-click karke Update Driver choose kijiye.

Step 7: Unnecessary Software Uninstall Karna

Kai baar hum trial software ya free tools install kar lete hain aur fir use karte hi nahi. Ye RAM aur space waste karte hain.
Steps:

  1. Settings > Apps > Installed Apps open kijiye.
  2. List me dekhiye ki kaunsa app aap rarely use karte ho.
  3. Uspe click karke “Uninstall” kar dijiye.

Tip: Specially toolbars, bloatware games, aur duplicate cleaners ko remove kijiye.

Step 8: Browser Optimization

Browser bhi computer slow hone ka ek bada reason hai.
Steps:

  1. Apne browser (Chrome/Edge/Firefox) me History > Clear Browsing Data jaiye.
  2. Cache, cookies aur browsing history clear kijiye.
  3. Extensions tab me jaakar unnecessary extensions ko disable/uninstall kijiye.

Pro Tip: Chrome ke bajaye lightweight browsers (Brave, Edge) use karne se speed better hoti hai.

Step 9: System Restore ya Reset (Last Option)

Agar saare steps ke baad bhi computer slow hai, to ye final step hai.

System Restore:

  1. Search bar me “System Restore” likhkar open kijiye.
  2. “Choose a different restore point” select kijiye.
  3. Us din ka restore point choose kijiye jab computer fast chal raha tha.
  4. Next > Finish dabaiye.

Reset this PC (Fresh Start):

  1. Settings > Update & Security > Recovery me jaiye.
  2. “Reset this PC” option select kijiye.
  3. Aapke paas do options aayenge – “Keep my files” ya “Remove everything”.
  4. Apne requirement ke hisaab se choose karke fresh Windows installation kar dijiye.

 Agar aapko lagta hai ki aapka computer din-ba-din slow hota ja raha hai, toh ab der mat kijiye! Upar diye gaye simple steps follow karke apne Windows 10/11 PC ko fast aur smooth banaiye. Computer tips, tricks aur solutions ke liye hamare blog ko regular visit karein aur apne doston ke saath bhi share karein taaki unka computer bhi fast ho sake.


No comments:

Post a Comment